hijr-zada aaankhon se jab aansu nikle khamoshi se kisi ne samjha raat samay do dip jale khamoshi se main bhi aag laga sakta hun is barsat ke mausam mein thodi dur talak wo mere sath chale khamoshi se sham ki dhimi aanch mein jab khurshid naha kar so jae manzar aapas mein milte hain khub gale khamoshi se barf ki parten jab bhi dekhun main unchi diwaron par jism sulagne lagta hai aur dil pighle khamoshi se chahat ke phir phul khilenge aap ki ye khush-fahmi hai kapde mere samne mausam ne badle khamoshi se din ke ujalon mein shayad main khud se bichhda rahta hun raat ki tariki mein ek khwahish machle khamoshi se jab bhi nadida sapnon ne man aangan mein raqs kiya teri yaad ke jugnu chamke raat dhale khamoshi se mulk-e-sukhan ke shahzadon ki saf mein khada ho jaega gar tere lahje ki dhadkan khushbu ugle khamoshi se