phir yun hua ki zindagi meri nahin rahi us ki nahin rahi to kisi ki nahin rahi wo ham-safar tha kashti pe manjhi bhi tha wahi dariya wahi hai main bhi hun kashti nahin rahi badla jo us ka lahja to sab kuchh badal gaya chahat mein dhal ke jaisi thi waisi nahin rahi pedon mein chhanw phul mein khushbu hai apna rang virani badh gai hai ki basti nahin rahi kachche makan jaise gharaunde se khelti pukhta hua jo sahn to mitti nahin rahi ek e'tiraf-e-ishq tha jo kar nahin saki khamosh is liye hun ki sachchi nahin rahi