hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jati

hikayat-e-lab-o-rukhsar se aage nahin jati
tamanna kya jo tere pyar se aage nahin jati

kai tufan us manjdhaar se aage bhi hain lekin
nigah-e-na-khuda manjdhaar se aage nahin jati

main aksar sochta rahta hun tere samne ja kar
tamanna kyun lab-e-izhaar se aage nahin jati

shikast-e-shisha-e-dil ki sada uthti to hai lekin
subu-o-jam ki jhankar se aage nahin jati

nigah-o-dil ki wusat mein hamein tarmim karni hai
nazar kya hai jo husn-e-yar se aage nahin jati

ajab ahl-e-mohabbat hain kabhi teri mohabbat hain
badhi gar baat bhi to dar se aage nahin jati

ye kaise log hain 'shabnam' abhi tak jo ye kahte hain
ghazal kyun narmi-e-guftar se aage nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close