itna ehsan aur karta kaun mujhe se badh kar mujhe samajhta kaun din-o-duniya se mawara tha main meri baaton pe kan dharta kaun main na hota to yun lab-e-dariya aabru tishnagi ki rakhta kaun jo kisi ne likha nahin wo harf main na likhta to aur likhta kaun khot mujh mein to sab ne dekh liya apna sona magar parakhta kaun jis ki manzil ho khwab-e-dar-basta us musafir ke sath chalta kaun aaina apne ru-ba-ru rakh kar main na hansta to mujh pe hansta kaun