himmat-e-ali ka itna to ziyan hona hi tha jurm-e-gihan-tab ko be-khanuman hona hi tha ye to ai matam-kanan-e-kushtagan hona hi tha un muhim-juyan ko ek din jawedan hona hi tha mar ke bhi yaadon mein jina chahta hai aadmi aadmi ki zindagi ko imtihan hona hi tha qismat qamusiyan har ahd mein sar-gashtagi tab to ummiin ko aakhir zaban hona hi tha shahid-e-mahmil hai itni qurbaten ye duriyan hae wo jis ka muqaddar sarban hona hi tha saunp kar mitti ko mitti li hawa ne apni rah mashghala tha khak se daman-fashan hona hi tha