hamare jaise hi logon se shahr bhar gae hain

hamare jaise hi logon se shahr bhar gae hain
wo log jin ki zarurat thi sare mar gae hain

gharon se wo bhi sada de to kaun niklega
hai din ka waqt abhi log kaam par gae hain

ki aa gae hain teri shor-o-shar ki mahfil mein
hum apni apni khamoshi se kitna dar gae hain

unhin se sikh len tahzib rah chalne ki
jo rah dene ki khatir hamin thahar gae hain

sabhi ko karte hain mil-jul ke rahne ki talqin
kuchh apne aap mein hum is qadar bikhar gae hain

nahin qubul hamein kaamyabi ka ye junun
ye jaante bhi hain nakaamiyon pe sar gae hain

to kyun satati hai bigde dinon ki yaad ki hum
musalahat hui duniya se ab sudhar gae hain

hawa-e-dasht yahan kyun hai itna sannata
wo tere sare diwane bata kidhar gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close