himmat junun azm irada liye hue

himmat junun azm irada liye hue
chalta hun apne sath main kya kya liye hue

rishta sanbhaalne mein laga hun main mom ke
haalat hain ki dhup ka tukda liye hue

mahrumiyon ka yun bhi kiya main ne ehtiram
nikla nahin hun hath mein kasa liye hue

deta hun roz khud ko dilase hayat ke
shanon pe apne aap ka lasha liye hue

ek roz dunga sab ki samaat pe dastaken
apne qalam se nikla tarana liye hue

sab gum-shuda khade hain zamane ki bhid mein
manzil ka apni dhundla se naqsha liye hue

kamiyan nikal kar wo meri sharmsar tha
aaya tha ek shakhs jo shisha liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close