hinsa ke pahle mujhe phir rula gaya ek shakhs fasana kah ke fasana bana gaya ek shakhs dikha ke ek jhalak apni chashm-e-mai-gun se mai-e-nashat ye kaisi pila gaya ek shakhs kahun to kaise kahun ek ajib manzar tha nigar-khana-e-hasti saja gaya ek shakhs khalish si uthti hai rah rah ke qalb-e-muztar mein tha kaisa tir-e-nazar jo chubha gaya ek shakhs na jaane aa gaya dam-e-fareb mein kaise tha sabz bagh jo mujh ko dikha gaya ek shakhs thi jis se sham-e-shabistan-e-zindagi raushan jila ke sham-e-mohabbat bujha gaya ek shakhs mein us ko dekh ke hosh-o-hawas kho baitha jab aaya hosh mein uth kar chala gaya ek shakhs khumar jis ka abhi tak hai sar mein 'barqi' ke sharab-e-shauq ka chaska laga gaya ek shakhs