mayusi ki kaifiyyat jab dil par tari ho jati hai rafta rafta din-o-duniya se be-zari ho jati hai awwal awwal khush aata hai pariyon ke khwabon mein rahna baad mein lekin ye haalat zehni bimari ho jati hai aql pe parda pad jata hai aur hum sab kuchh kho dete hain jab koi shakhsiyyat hum ko had se pyari ho jati hai rizq muqaddar mein likha hai phir ye karobar-e-jahan kya ek ek dana kamane mein kis darja khwari ho jati hai baz maqam aise hote hain jin se aage badh jaen to un tak wapas aane mein behad dushwari ho jati hai hum to sheri canwas par bas dil ka haal raqam karte hain sachche jazbon se is par khud naqsh-nigari ho jati hai aksar mujh se mahinon 'kashif' koi sher nahin ho pata taza zakhm magar lagte hi taza-kari ho jati hai