hiqarat ki nazar se dekhta hai har bashar mujhko

hiqarat ki nazar se dekhta hai har bashar mujh ko
zamana bolta hai tum bhi kah lo dard-e-sar mujh ko

main hun wo shama jis ki qadr-o-qimat sirf itni hai
kisi ne taq par rakkha kisi ne qabr par mujh ko

bharose ki sadak par bughz ke itne gadhe dekhe
ki ab ek shakhs bhi lagta nahin hai mo'atabar mujh ko

hawaon ne to kashti ka meri rukh mod hi dala
ai lahro tum bhi kar lo aa ke ab zer-o-zabar mujh ko

fareb-e-manzil-e-maqsad se waqif ho gaya hun main
khudara aap rahne dijiye mahw-e-safar mujh ko

ghira hun aaj zulmat mein magar ummid hai 'anjum'
ki mil hi jaegi kal zindagani ki sahar mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close