ishq ki rah mein mar jae zaruri to nahin aadmi had se guzar jae zaruri to nahin hain dua go jo abhi hath pasare apne un ki taqdir sanwar jae zaruri to nahin main ne mana ki kathin rahguzar hai lekin raegan mera safar jae zaruri to nahin nek aamal ki batlae fazilat jo sada khair ka kar wo kar jae zaruri to nahin chup ke bistar pe jo leta hai khamoshi odhe ek aawaz se dar jae zaruri to nahin gul ki khatir nahin phaila mera daman lekin ye faqat khar se bhar jae zaruri to nahin jurm ka mujh pe jo ilzam laga hai 'anjum' wo kisi aur ke sar jae zaruri to nahin