hirs daulat ki na izz o jah ki

hirs daulat ki na izz o jah ki
bas tamanna hai dil-e-agah ki

dard-e-dil kitna pasand aaya use
main ne jab ki aah us ne wah ki

khinch gae kanan se yusuf misr ko
puchhiye hazrat se quwwat chah ki

bas suluk us ka hai manzil us ki hai
us ke dil tak jis ne apni rah ki

waizo kaisa buton ka ghurna
kuchh khabar hai summa-wajhul-lah ki

yaad aai taq-e-bait-ul-lah mein
bait-e-abru us but-e-dil-khwah ki

rah-e-haq ki hai agar 'asi' talash
khak-e-rah ho mard-e-haq-agah ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close