baDi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai

badi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai
ki jawan-asar hai tamam shai na sukun hai na qarar hai

zara tez-gam badhe chalo hai faza-e-sahra musafiro
jahan aankh dil ki jhapak gai wahin zindagi ka mazar hai

na rumuz-e-ishq se ba-khabar na mizaj-e-husn se aagahi
ye mazaq-e-ramish-o-rang bhi rah-e-rasti se farar hai

na kisi mein husn-e-haya raha na kisi mein bu-e-wafa rahi
abhi dosh-e-aql pe sar-basar koi dew-e-makr sawar hai

hai zamir-e-zinda ke waste to bisat-e-gul bhi tabah-kun
mere ham-jalis khabar bhi hai yahi aastin ka mar hai

teri be-panah nawazishen teri be-hisab inayaten
meri rusiyahi-e-gunagun ka hisab hai na shumar hai

teri rahmaton se hai dur kab meri chaara-sazi-e-be-kasi
kisi gham-nasib ki dahr mein ye sada se khas pukar hai

na kisi se adl ki baat kar na kisi se khair ki rakh talab
ki mata-e-nur-e-sahar yahan shab-e-tira-e-tar pe nisar hai

teri pand khair-asar nahin teri bandagi bhi ghalat-nigar
tera fikr naseh-e-mohtaram abhi muflisi ka shikar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close