hirs-o-hawas ke nam ye din raat ki talab imdad ki umid mafadat ki talab wo sanehe ki soch badalni padi mujhe paidaeshi nahin thi khayalat ki talab main bhi kisi masiha ke hun intizar mein tum ko bhi ghaaliban hai karamat ki talab khabron mein ek lutf ka pahlu to hai magar achchhi nahin hai itni bhi haalat ki talab kaisa ajib rog mere ji ko lag gaya har waqt hai kisi se mulaqat ki talab jurat se apni khud bhi main hairan hun bahut badhti hi ja rahi hai sawalat ki talab tu bhi gunahgar yaqinan hai zat ka 'saurabh' teri saza bhi wahi zat ki talab