tu yaad aaya aur meri aankh bhar gai aksar tere baghair qayamat guzar gai awwal to muflison ki koi aarzu nahin paida kabhi hui bhi to ghut ghut ke mar gai ek ishq jaise lafz mein muzmir ho kaenat ek husn jaise dhup chadhi aur utar gai naz o ada se panw uthe aur laraz gae achchha hua ki us ki bala us ke sar gai 'tariq' tasawwuraat mein aahat si kya hui jalte gae charagh jahan tak nazar gai