hisab-e-tark-talluq tamam main ne kiya shurua us ne kiya ikhtitam main ne kiya mujhe bhi tark-e-mohabbat pe hairaten hain rahin jo kaam mera nahin tha wo kaam main ne kiya wo chahta tha ki dekhe mujhe bikharte hue so us ka jashn ba-sad-ehtimam main ne kiya bahut dinon mere chehre pe kirchiyan si rahin shikast-e-zat ko aaina-fam main ne kiya bahut dinon mein mere ghar ki khamoshi tuti khud apne-ap se ek din kalam main ne kiya khuda-e-zabt ne mausam pe qudtaren bakhshin ghubar-e-tund ko aahista-gam main ne kiya is ek hijr ne milwa diya visal se bhi ki tu gaya to mohabbat ko aam main ne kiya mizaj-e-gham ne bahar-taur mashghale dhunde ki dil dukha to koi kaam-wam main ne kiya chali jo sail-e-rawan par wo kaghzi kashti to is safar ko mohabbat ke nam main ne kiya wo aaftab jo dil mein dahak raha tha 'saud' use sapurd-e-shafaq aaj sham main ne kiya