hijab dur tumhaara shabab kar dega ye wo nasha hai tumhein be-hijab kar dega mera khayal mujhe kaamyab kar dega khuda isi ko zulekha ka khwab kar dega meri dua ko khuda mustajab kar dega tera ghurur mujhe kaamyab kar dega ye dagh khae hain jis ke firaq mein hum ne wo ek nazar mein unhen aaftab kar dega kiya hai jis ke ladakpan ne dil mera tukde kaleja khun ab us ka shabab kar dega suni nahin ye masal ghar ka bhedi lanka dhae tujhe to dil ki khabar iztirab kar dega na dekhna kabhi aaina bhul kar dekho tumhaare husn ka paida jawab kar dega kisi ke hijr mein is dard se dua mangi nidaen aain khuda kaamyab kar dega gham-e-firaq mein girye ko shaghl samjha tha khabar na thi meri mitti kharab kar dega kise khabar thi tere zulm ke liye allah mujhi ko roz-e-azal intikhab kar dega utha na hashr ke fitna ko chaal se nadan tere shahid ka be-lutf khwab kar dega wo galiyan hamein den aur hum duaen den khajil unhen ye hamara jawab kar dega jawab-e-saf na de mujh ko ye wo aafat hai mere sukun ko bhi iztirab kar dega kahin chhupae se chhupta hai lal guddi mein farogh-e-husn tujhe be-naqab kar dega teri nigah se badh kar hai charkh ki gardish mujhe tabah ye khana-kharab kar dega duboegi mujhe ye chashm-e-tar mohabbat mein kharab kaam mera iztirab kar dega raqib nam na le ishq ka jata dena ye shola wo hai jala kar kabab kar dega wafa to khak karega mera udu tum se wafa ke nam ki mitti kharab kar dega ajib shakhs hai pir-e-mughan se mil zahid nashe mein chur tujhe be-sharab kar dega badon ki baat badi hai hamein nahin bawar jo aasman se na hoga habab kar dega bhalai apni hai sab ki bhalai mein 'bekhud' kabhi hamein bhi khuda kaamyab kar dega