hisar-e-dard sa main sai-e-raegan sa main ye shoala shoala faza aur dhuan dhuan sa main paheliyan si mere ird-gird bikhri huin huzur-e-waqt koi lamha-e-giran sa main qadam qadam nae unwan munh uthae hue kisi riwayat-e-kuhna ki dastan sa main kisi guzarte hue sanehe ka lamha tu aur ek lamhe ki khatir rawan-dawan sa main main intizar ki taqdis tu shikast-e-wafa tu daeron ka makin dard-e-la-makan sa main tamam samt wahi shor mein faqat main hun kahan ye shor kahan ek be-zaban sa main mujhe bana ke teri aankh khul gai jaise bikhar gaya hun yahan khwab-e-raegan sa main hazaron khwahishen lakhon alam mere hamrah ragon ka ashk' kahan jaane karwan sa main