aankhon mein aaj aansu phir dabdaba rahe hain hum kal ki aastinen ab tak sukha rahe hain ehsan jata jata kar nashtar laga rahe hain meri kahaniyan sab mujh ko suna rahe hain aansu gham-o-khushi ke jalwe dikha rahe hain kuchh jagmaga rahe hain kuchh jhilmila rahe hain saqi ke ruthne par rindon mein barhami hai saghar se aaj saghar takrae ja rahe hain ab chahe shakl-e-farda jitni hasin-tar ho jo din guzar gae hain wo yaad aa rahe hain himmat na haar dena ai hasrat-e-nazara ek aaftab se hum aankhen lada rahe hain wahshi hain kis ke kitna suthra mazaq gham hai shabnam se aansuon ke qatre mila rahe hain aankhon par apni rakh kar sahil ki aastin ko hum dil ke dubne par aansu baha rahe hain khulta 'siraj' kuchh to ye raaz zindagi ka ye har nafas mein kis ke paigham aa rahe hain