hisar-e-dil se udhar bhi haqiqaten hain bahut

hisar-e-dil se udhar bhi haqiqaten hain bahut
tere baghair bhi jine ki suraten hain hain

tere ghurur ko hum se shikayaten hain baja
hum aadmi hain hamein past aadaten hain bahut

jo teri tarz-e-jafa se hamara haal hua
zaban pe laen ye us mein qabahaten hain bahut

agar hai bais-e-wahshat tujhe hamara junun
hamein bhi teri ada se shikayaten hain bahut

ghalat ki milne mein hai fasle ka khauf tujhe
ki aaj-kal to safar mein sahulaten hain bahut

mujhe to chhod gaya rah mein to thik hua
ki pa-shikasta tha main aur masafaten hain bahut

zaban khol ke is bazm mein kharab hue
sawal ek tha lekin wazahaten hain bahut

kise sunen to karen kis se hum gurez ki yan
har ek zaban pe ghamon ki hikayaten hain bahut

hamein azab-e-qayamat ka koi khauf nahin
ki is se badh ke jahan mein qayamaten hain bahut

mile ye log to kyun aur log kyun na mile
jawab koi nahin hai bujhaarten hain bahut

nahin hai aaj ki tanhaiyon se haul hamein
ki dil pe naqsh jawani ki suraten hain bahut

kis ehtiyat se ai 'arsh' us ko sarf karen
mata-e-umr hai kam aur chahaten hain bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close