hisar-e-gard mein tanha khada hun main apni khwahishon ka silsila hun khala ki wusaton ko napta hun ghubar-e-rahguzar udta hua hun wo itna pas hai mere ki us ko main aankhen band karke dekhta hun hazaron mil ka lamba safar hai main lamhon mein jise tai kar raha hun yaqin aae na aae tum ko lekin main apni khoj mein ghar se chala hun mere bare mein wo bhi sochta hai khuda ka shukr main bhi ji raha hun ye kis ki yaad ne ki zau-fishani safar mein jugnuon ko dekhta hun koi shadab mausam aae mujh tak main sukha ped raste par khada hun mahakte phul ki khwahish mein 'khalid' main tanhai ka mausam jhelta hun