kab ped ki manind thaharte hain musafir suraj ko liye sath guzarte hain musafir yun khauf-e-fasadat se chupka hai zamana ab shahr mein aane se bhi darte hain musafir tariki-e-shab kahkashan mang rahi hai phir raat ke pahlu mein sanwarte hain musafir ghar se to nikal aae hain jazbaat ki rau mein nairangi-e-haalat se darte hain musafir sahil ka tajassus hai junun-khez hai manzar girdab mein hans hans ke utarte hain musafir main ek samundar hun tah-e-ab mujhe dekh mujh se hi guhar le ke ubharte hain musafir himmat na kabhi haar na mayus ho 'khalid' koshish ki badaulat hi sanwarte hain musafir