hisar-e-gham se jo nikle bhi to kidhar aae bahut malal hua laut ke jo ghar aae dikhai kuchh na de lekin meri nigahon ko tere jamal ka manzar faqat nazar aae tumhaare dar se guzar jaun aur khabar bhi na ho mere safar mein ek aisi bhi rahguzar aae tamam umr main zad mein raha hun raaton ki mere khuda mere hisse ki ab sahar aae