diye se yun diya jalta rahega ujala phulta-phalta rahega nahin hai banjh aawazon ki dharti sadaon ka nasab chalta rahega sakun ho bahr mein ya ho talatum guhar to sip mein palta rahega zamin par barishen hoti rahengi samundar abr mein dhalta rahega na baz aaega ghaflat se bhi insan kaf-e-afsos bhi malta rahega chhupaoge agar 'gulzar' khud ko wajud apna tumhein khulta rahega