hisar-e-hijr ke jughrafie samajh aae

hisar-e-hijr ke jughrafie samajh aae
jab apne dur hue marsiye samajh aae

main wapas aa ke bataungi un ka haal tumhein
agar mazar pe jalte diye samajh aae

tumhaare ishq ki in saaton ke ba'd hamein
musawwiri ke nae zawiye samajh aae

tarash dalungi alfaz ko ba-surat-e-sher
ghazal ke junhi mujhe qafiye samajh aae

wo likhne wale ne likkhe the bughz mein jal kar
muarrakhin ko jo hashiye samajh aae

hamein pasand na tha mushkilon mein rahna bhi
so jitne roz jahan mein jiye samajh aae

bahut se naqsh adhure hain ab talak 'tabish'
bahut se log tumhaare liye samajh aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close