jaise hon naqab-kari ke aalat mere hath

jaise hon naqab-kari ke aalat mere hath
dastak se ulajhte rahe kal raat mere hath

qadmon se lipat jae furaat aaj bhi mere
dajla ke kinaron se karen baat mere hath

mausiqi-e-baran ho ki ho baat tumhaari
likhte hain bade shauq se naghmat mere hath

hai jis ka fusun dahr ki har shai mein numayan
us ke bhi raqam karte hain jazbaat mere hath

karti rahen abbas ka girya meri aankhen
likhte rahen zainab ki futuhat mere hath

hain pak sabhi aal-e-nabi rijs se 'tabish'
tathir se aaya hai ye isbaat mere hath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close