hisar-e-jism se aage nikal gaya hota junun ki aag mein diwana jal gaya hota hayat ek sahi kaenat ek sahi hamare ahd ka insan badal gaya hota hawa ke zor ne patthar uda diye hote tamam shahr ko tufan nigal gaya hota main apni nind kisi ghar mein kaise bhul aata wo mere khwab ke sanche mein dhal gaya hota na puchh kaisa tha manzar teri judai ka farishta hota to wo bhi dahal gaya hota