itni kharab surat-e-haalat bhi nahin jo kah na paun aisi koi baat bhi nahin suraj ka ganw jis ki jataon mein thi asir ai shahr-e-be-charagh ye wo raat bhi nahin phir aaj uth raha hai dhuan dal ke aas-pas tajdid-e-arzu-e-mulaqat bhi nahin darta hun apne sae se mein khud-gazida hun sine mein koi shorish-e-zulmat bhi nahin 'faruq'-nazuki ne khilae lahu ke phul dil par agarche us ki inayat bhi nahin