hisar-e-maqtal-e-jaan mein lahu lahu main tha rasan rasan meri wahshat gulu gulu main tha jo rah gaya nigah-e-sozan-e-mashiyyat se qaba-e-zist ka wo chaak-e-be-rafu main tha zamana hansta raha meri khud-kalami par tere khayal se masruf-e-guftugu main tha tha aaine mein shikast-e-ghurur-e-yaktai ki apne aks ke parde mein hu-ba-hu main tha tu apni zat ke har pech-o-kham se puchh ke dekh qadam qadam meri aahat thi ku-ba-ku main tha har ek wadi-o-kohsar se guzarta hua jo aabshaar bana tha wo aabju main tha khutan khutan thi shalang-e-ghazal mere liye badan badan mera nashsha subu subu main tha tamam umr ki diwangi ke baad khula main teri zat mein pinhan tha aur tu main tha maal-e-umr-e-mohabbat hai bas yahi 'tishna' meri talash tha wo us ki justuju main tha