aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost kya na chhalkegi jo aankhon mein bhari hai ai dost jo kami pahle thi wo phir bhi kami hai ai dost ye jo thodi si hansi zer-e-labi hai ai dost aap ko dekh mere zauq-e-fana ko bhi dekh ye teri shishagari dard-sari hai ai dost mai-e-gulfam mein kuchh durd-e-tah-e-jam sahi wo khushi kaisi khushi jis mein kami hai ai dost khak mein rang-e-gulistan ko bhala dekh sakun meri aankhon mein agar itni nami hai ai dost tab-e-parwaz thi jin ko wo gae bhi 'masu' hum kahan jaen ki be-baal-o-pari hai ai dost