hisar-e-shahr mila dasht ka maza na mila junun ke daur mein bhi koi mashghala na mila ab us gulab ne kante ki ek chubhan bhi na di mila zarur wo mujh se magar khafa na mila na tere qad ki koi bahr-e-khush-khiram mili ghazal ka zikr hi kya koi qafiya na mila jo bas chale to wo simta le har numu-e-badan haya se apni koi yun thaka hua na mila bhanwar ki chikh bulati rahi magar ai 'shaz' andheri raat thi maujon ka naqsh-e-pa na mila