na do dushnam hum ko itni bad-khui se kya hasil tumhein dena hi hoga bosa kham-rui se kya hasil dil-azari ne teri kar diya bilkul mujhe be-dil na kar ab meri dil-jui ki dil-jui se kya hasil na jab tak chaak ho dil phans kab dil ki nikalti hai jahan ho kaam khanjar ka wahan sui se kya hasil burai ya bhalai go hai apne waste lekin kisi ko kyun kahen hum bad ki bad-gui se kya hasil na kar fikr-e-khizab ai shaikh tu piri mein jaane de jawan hona nahin mumkin siyah-rui se kya hasil chadhae aastin khanjar-ba-kaf wo yun jo phirta hai use kya jaane hai us arbada-jui se kya hasil abas pamba na rakh dagh-e-dil-e-sozan pe tu mere ki angare pe hoga chaaragar rui se kya hasil shamim-e-zulf ho us ki to ho farhat mere dil ko saba howega mushk-chin ki khushbui se kya hasil na howe jab talak insan ko dil se mel-e-yak-jaanib 'zafar' logon ke dikhlane ko yaksui se kya hasil