hisar-e-zat se bahar na apne ghar mein hain hum is zamin ki tarah mustaqil safar mein hain bhatak rahe hain andhere musafiron ki tarah ujale mahw-e-sukun daman-e-sahar mein hain jinhen khabar hi nahin sharh-e-zindagi kya hai wo mujrmon ki tarah qaid apne ghar mein hain to e'tibar-e-shab-e-intizar hai jaanan tere firaq ke mausam meri nazar mein hain jo be-qarar hain un ko kahin qarar nahin nasib wale sitaron ki rahguzar mein hain 'khayal' aamad-e-fasl-e-bahaar hai shayad jo sust-e-gam the wo log bhi safar mein hain