khayal-o-khwab ki duniya kahan hai teri aankhen tera chehra kahan hai hum apne shauq mein dube hue hain hamare shahr mein dariya kahan hai to sari justuju hi raegan thi wo ek lamha rifaqat ka kahan hai har ek tare se ja kar puchhta hun ye suraj raat ko jata kahan hai ye kaisa shor hai diwar-o-dar ka hamare ghar mein wo rahta kahan hai abhi ruswaiyan to aur hongi abhi hum ne use socha kahan hai agar hum ret ki diwar the to hamare jism ka malba kahan hai talab ke raste par aa gaya hun batao ab mujhe jaana kahan hai muhalle-dar sab aaram se hain mere ham-sae ka kutta kahan hai ye hum jo 'qais' hain bas nam ke hain hamare sar mein wo sauda kahan hai