hisar-e-zat se bahar nikal jaane ki thani hai zara main bhi to dekhun mujh mein kitni be-karani hai kisi se puchhte kya ho jabinon par nazar dalo lakiren khud kahengi kis ne kitni khak chhani hai fareb-e-baal-o-par mein qaid hai ehsas ka tair shuur-o-agahi par bhi qafas ki hukmrani hai mata-e-arzu ashkon ki surat aankh mein aa kar thahar jae to gauhar hai jo bah jae to pani hai kinare se nikal kar chahti hai be-karan hona nafas ki rau hai ya shorida dariya ki rawani hai siwae gard-e-rah-e-shauq kya rakkha hai qisse mein hamari zindagi khana-ba-doshon ki kahani hai meri aankhon se mehr-o-mah paiham baat karte hain mere paikar mein raushan ek jahan-e-khush-gumani hai suluk-e-dostan par raaz tum hairat-zada kyun ho nae hain zakhm-e-jaan lekin riwayat to purani hai