KHana-ba-dosh rahne ki aadat nahin gai

khana-ba-dosh rahne ki aadat nahin gai
insan ke dil se khwahish-e-hijrat nahin gai

dar dar ki khak chhan rahe hain abhi talak
dil se hayat-ashna wahshat nahin gai

kuchh pur-khulus dost mayassar hain is liye
aankhon se khush-gumani ki aadat nahin gai

jab tak nafas mein sabr-o-qanaat the khema-zan
ghar se hamare rizq ki barakat nahin gai

lamha-ba-lamha tutte rahne ke bawajud
kohsar-e-khush-jamal ki rifat nahin gai

sad-shukr sun raha hun main ab bhi sada-e-waqt
is shor mein bhi meri samaat nahin gai

murjha gaya kitab mein rakkha hua ye phul
lekin hanuz is ki latafat nahin gai

daman-e-chashm-e-shauq lahu se hai tar-ba-tar
aankhon se phir bhi khwab ki chahat nahin gai

pagdi bata rahi hai ki sar par ghurur se
kotah-qamati ki alamat nahin gai

us ko zamin bhi chahiye wo bhi kafan ke sath
mar kar bhi aadmi ki zarurat nahin gai

is bar sail-e-ashk-e-nadamat ke sath 'raaz'
aankhon se raushni-e-nadamat nahin gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close