hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh liya zamane hum ne tere sath chal ke dekh liya mila na hum ko zara bhi qarar duniya mein qadam mila ke tere sath chal ke dekh liya wahi hai tira-shabi aur wahi hai sannata khala mein dur bahut dur chal ke dekh liya jala na dip koi chahaton ka raste mein hujum-e-shahr mein tanha bhi chal ke dekh liya ata hua na hamein koi tamgha-e-ulfat tumhaare rang mein hum ne bhi dhal ke dekh liya hue na aaj talak hum shumar zindon mein har ek libas badan ka badal ke dekh liya