jo ho chuka hai jo hona hai us ka sangam hai

jo ho chuka hai jo hona hai us ka sangam hai
abhi se aage muallaq hai pichhe mubram hai

hamare shahr ke har sach mein jhut mudgham hai
yahan safed-o-siyah ki tamiz mubham hai

bas ek main se azazil ho gaya iblis
aur ek dua ki badaulat khalifa aadam hai

na ha-o-hu na koi chikh hai sar-e-maqtal
hamare shahr mein kaisa ye hu ka aalam hai

kisi ke shauq ne ganga ka rup dhaar liya
kisi ke ishq ka izhaar aab-e-zamzam hai

kahan pe bhej diya hai ye kaisi duniya hai
ki zindagi to yahan ek jehd-e-paiham hai

jo haal puchhne aae hain mere zakhmon ka
kisi ke hath namak hai kisi ke marham hai

ye kis ne soch ka is shab diya jalaya hai
faza-e-shahr pe ab raushni ka parcham hai

ye kya sawal uthaya hai phir 'hidayat' ne
faqih-e-shahr ka phir se mizaj barham hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close