hisar ke sabhi nizam gard gard ho gae hum apne apne jism mein khala-naward ho gae rawaniyan sifar huin masafaten khandar huin najat ke tamam shahkar sard ho gae hawa-e-jaan ka kya miyan utha gai uda gai jame na the badan mein hum ki phir se gard ho gae ibaraton mein aa basi ajib rut sukut ki qalam ki shakh ke tamam barg zard ho gae na puchh hum se kya hua hayat ka 'riyaz' ka dawam chhu gaya unhen to kard kard ho gae