ab na wo shor na wo shor machane wale khak se baith gae khak udane wale ye alag baat mayassar lab-e-goya na hua dil mein wo dhum ki sunte hain zamane wale kisi manzil ki taraf koi qadam uth na saka apne hi panw ki zanjir the jaane wale dil sa wahshi kabhi qabu mein na aaya yaro haar kar baith gae jal bichhane wale din ki kajlai hui dhup mein kya dekhte hain sham hote hi pareshan nazar aane wale jalwa-e-husn saza-war-e-nazar ho na saka kuchh nahin dekh sake aankh uthane wale yaad-e-ayyam ke darwaze se mat jhank mujhe aankh se dur na ho dil mein samane wale teri qurbat mein guzare hue kuchh lamhe hain dil ko tanhai ka ehsas dilane wale inhi jhonkon se hai 'shahzad' chamak aankhon mein yahi jhonke hain charaghon ko bujhane wale