hisse mein aae mere sada tukde kanch ke qismat ne hi kiye hain ata tukde kanch ke ek waqt tha dete the saza tukde kanch ke dene lage hain ab to maza tukde kanch ke fitrat mein un ki dena chubhan likh diya gaya majbur hain karen bhi to kya tukde kanch ke aaina dekhne ki bhi hasrat nahin rahi batlate hain meri hi khata tukde kanch ke ab teri bad-dua ka asar khatm ho gaya karte hain mere haq mein dua tukde kanch ke nashtar chubha ke duniya mujhe zakhm de rahi aur de rahe hain mujh ko dawa tukde kanch ke chaho 'rajat' se milna kabhi tum jo dosto de denge tum ko mera pata tukde kanch ke