kaun dekhega zamane inqilab-e-naz ke

kaun dekhega zamane inqilab-e-naz ke
bhul baithe hain wo wade ishq ke aaghaz ke

hote hain tir-e-sitam sar chahne walon pe ab
ye nae andaz dekhe ghamza-o-ghammaz ke

mere aah-o-nale ko zalim samajh nadan na ban
saz ke naghme nahin ye hain shikast-e-saz ke

baal-o-par ab tak bandhe hain hun muqayyad ta-hanuz
hukm sadir ho chuke hain go meri parwaz ke

ishq-e-din hubb-e-watan zauq-e-amal pas-e-wafa
jauhar-e-insaniyat hain ye kisi dam-saz ke

is kharab-abaad ki tanzim kuchh aasan na thi
moajize hain ye masiha-dam tere andaz ke

saz-e-hasti teri ek aawaz se tha naghma-kar
muntazir diwane dil hain dusri aawaz ke

chaar kaliyon ke sahaare hai gulistan ka qayam
zahiran jo gul hain warna khar hain eajaz ke

go ghanimat panja-e-aghyar ke chhutna sahi
kyun magar hum said hon chashm-e-zamana-saz ke

inqalab ek apne haq mein aur bhi aane ko hai
ye maani hain haqiqat mein nawa-e-raaz ke

zulm par tum zulm dhao hum na khinchen aah tak
wah kya kahiye tumhaare ishwa-o-andaz ke

hind mein qaem rahe daim bahaar-e-be-khizan
ye dua lab par ho har 'gulzar' ke dam-saz ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close