ho agar madd-e-nazar gulshan mein ai gulfam raqs surat-e-bismil dikhae bulbul-e-nakaam raqs khana-e-maqtal mein hota hai guman firdaus ka mor ban kar jab dikhati hai teri samsam raqs wo hawa-khwah-e-nasim-e-zulf hun main tira-bakht kyun na marqad par kare dud-e-charagh-e-sham raqs aarzu hai iltifat-e-be-qarari se mujhe wasl mein us ko dikhae har rag-e-andam raqs dam nahin apna tadap kar lautta hai hijr mein ruh ko sikhla raha hai maut ka paigham raqs ai 'shagufta' wo pari-ru mujh se farmata hai ye tum ko dikhlaenge apna aaj zer-e-baam raqs