kaisa ajib aaya hai is sal ka bajat murghi ka jo bajat hai wahi dal ka bajat jitni hai ek clerk ki tankhwah aaj kal utna hai begamat ke ek gal ka bajat sirf ek din mein bis musafir hue halak hazir hai sain gulshan-e-iqbaal ka bajat tw ka ye mazaq adibon ke sath hai shaer se dugna rakh diya qawwal ka bajat bichhde the jab ye log mahina tha june ka sohni bana rahi thi mahinwal ka bajat damad ko nikal ke jab bhi hua hai pesh salon ne pas kar diya sasural ka bajat bikti hai ab kitab bhi cassette ke rate pe kaise banega 'ghaalib' o 'iqbaal' ka bajat man kah rahi thi rang lipstick ke dekh kar chat kar diya bahu ne mere lal ka bajat donon bane hain bais-e-taklif aaj-kal 'ishaq'-dar aur nae sal ka bajat