ho agar uljhan ya koi gham tu mujhse baat kar

ho agar uljhan ya koi gham tu mujh se baat kar
yun na kar aankhon ko apni nam tu mujh se baat kar

kaun si shai aasman mein hai nihan mujh ko bata
kyon bhala dekhe idhar har dam tu mujh se baat kar

guftugu se hi yahan par hal koi ho paega
khamushi kar degi ye be-dam tu mujh se baat kar

kya diya hai aap ne juz mujh ko ek taswir ke
han usi se kahti hun hamdam tu mujh se baat kar

chaar din key zist mein bas chaar pal khushiyon ke hain
kis liye phir raat din matam tu mujh se baat kar

'rit' kya tanha safar sach mein tujhe khalne laga
kya nahin kahta koi jaanam tu mujh se baat kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close