bad-gumani ka ye aalam har jagah palne laga hai bhid ka tanha safar ab ruh ko khalne laga hai ab falak key raushni aati nahin hai ghar mein mere nur meri zist ka ab din-ba-din dhalne laga hai yar hai khanjar bhi hai to faisla bhi ho hi jae waqt aaya hai agar to waqt kyon talne laga hai shab mein apne parindo key hua hai ped budha aandhiyon se jo lada dimak se wo galne laga hai be-sabab yun raat ko sab chand se baaten na karte dard har ek shakhs mein ab fasl sa phalne laga hai aasman ke manch par ye chand suraj key kahani ek ugne jo laga to dusra dhalne laga hai