ho chuka jo ki muqaddar mein tha darman hona ab tere hath hai mushkil meri aasan hona tha jo maqsum mein sharminda-e-ehsan hona ghair ke hath raha dafn ka saman hona husn ka ishq ki wadi mein numayan hona ramz tha din ko sar-e-tur charaghan hona lazzat-e-dard-e-jarahat to mere dil se na puchh pahlu-e-zakhm mein lazim tha namak-dan hona ek qayamat ka saman tha tera ai subh-e-watan parda-e-sham-e-ghariban ka numayan hona khana-barbaadiyan har samt se ghere hain mujhe dar-o-diwar pa likkha hai bayaban hona imtihan-gah-e-mohabbat mein na jaane kya ho qahr ka samna hai tegh ka uryan hona aa rahi hain ye umidon ki sadaen paiham go safar sakht hai lekin na hirasan hona meri turbat bhi bani aisi zamin pe 'alim' jis ki taqdir mein likkha tha bayaban hona