kisi ke zakhm par ashkon ka phaha rakh diya jae chalo suraj ke sar par thoda saya rakh diya jae mere malik sar-e-shakh-e-shajar ek phul ki manind meri be-dagh peshani pe sajda rakh diya jae gunahgaron ne socha hai musalsal nekiyan kar ke shab-e-zulmat ke sine par ujala rakh diya jae tan-e-be-sar hun mere sae mein ab kaun baithega darakhton mein mere hisse ka saya rakh diya jae bulate hain hamein mehnat-kashon ke hath ke chhaale chalo muhtaj ke munh mein niwala rakh diya jae duaen mangte hain wo hamare rizq ki khatir faqiron ke liye thoda sa aata rakh diya jae mujhe chalne nahin denge ye mere panw ke chhaale mere talwon ke niche koi kanta rakh diya jae riwajon ki wo kasrat hai ki dam ghutne laga apna utha kar ab 'raza' parina qissa rakh diya jae