ho dawa mere maraz ki to mujhe la kar de ya mere haq mein dua hi tu khudara kar de tu bhale aa na magar dil ki tasalli ke liye be-rukhi yun na dikha koi bahana kar de is se pahle ki shikayat meri pahunche tujh tak tu mujhe bazm se jaane ka ishaara kar de pattharon ko hai ye dar daur-e-munasib mein kahin un ko chhu kar na koi ram ahilya kar de hai miyan waqt ye warna jo jamura chahe wo kisi din bhi madari ko tamasha kar de apne is ilm pe shohrat ki hawas hai bhaari jo ki ghairat ko bhi jab chah le andha kar de 'raaz' tu sach bhi jo kahta hai bura lagta hai ye zaban teri kisi ko bhi paraya kar de