khwab ko khushnuma banate hue raat guzri diya banate hue mere lahje se khun risne laga khamushi ko dua banate hue shahar ke shahar kar diye mismar apna khalwat-kada banate hue apni si khak uda ke baith rahe apna sa qafila banate hue zal duniya ko kya safai den kya banaya hai kya banate hue khak aur khun jama karta hun dasht mitta hua banate hue